Bhor ki chuppi mein, ekk naya jag jage yun,
Shabnam ke qatron mein, har lamha sacha lage kyun?
Jhonke ke ehsaas mein, tabdeeli ki sargoshi sa,
Fitrat ki laay mein, suroyon ki madhoshi sa.
Kun Faya Kun…
Roshni ke thirakne se, saaye khelte aur jhoomte jo,
Sangmarmar ki khoobsurati mein, waqt phisle yun,
Fir vaahi do dil kuch pyaar se dharakdte hai
Aur khud ko iss lamhe mein, yun sambhal lete hai.
Kun Faya Kun…
Door ghane jangal mein, raaz duniye ke yun samaye hue,
Jharno ke jharjharahat mein, raaz voh fir aise khulte hain,
Fir yun unn panchiyon ke saath, aazadi apna mukhta kholte hue,
Mausaumon ki gardish mein, yun sambhal lete hain.
Kun Faya Kun…
Sawali raat ki khamoshiyon mein, kahaaniya sitaaro se nikal kar sitaaro mein sama jaati kyun?
Kainat ki khushboo janaat ka ehsas dilati kyun?
Door door door shayad vahi O mere Khuda tu rehta hai
Tujhse hi shuru aur tujh mein hi mujhe samana hai.
Kun Faya Kun…
Chahat ka ehsas, bas uss ek naram sparsh mein,
Jo har uss bachche ki aankhon mein, haarazon aasheyein laayein,
Ek ek aashayoin se yun kaayi aashayein banti hai,
Bin ekta ke, voh fir sab bhikarti hai.
Kun Faya Kun…
Tabdeeli ke saamne, tadbeer ka raasta chun,
Umeed ke beejo se, khwaab bun,
Apne mann ko khali kar, aur khud ko khudi se roobaro kar,
Fir Khuda ko apne aur iss pal ko usmein yun, juda kar.
Kun Faya Kun…